Munir Niazi
Phool thai, badal bhi thaa aur woh haseen surat bhi thi
Dil mein lekin aur he ek shakal ki hasrat bhi thi
Jo hava mein ghar banaye kaash koi dekhta
Dasht mein rehte thai par taamir ki aadat bhi thi
Keh gaya mein saamnay uss ke jo dil ka mudaa'aa
Kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi
Ajnabi shehraon mein rehte umr saari kaT kayi
Go zara se faasle par ghar ki har rahat bhi thi
Kya qayamat hai "Munir" ab yaad bhi aatay nahin
Woh puranay aashnaa jin se hamain ulfat bhi thi