
Start communicating
TalkhiyaN
This village is created not only to focus on Urdu Poetry but also on the poets, their works and their contribution and dedication. The aim is also to develop a better understanding of Urdu poetry as well as of Urdu literature. Poetry is like abstract art and can be seen from different angles, depending on an individuals perception. Why not exchange thoughts and have discussions? thereby broadening our horizons.
Besides Urdu poetry, members could also post short stories (afsane) and other articles.
Jo duniya ne hamain tajarbe aur haadsaat ki soorat mein dya hai, kyun nah wohi zamane ko lauta dein ab? Talkhiyon ke saath& .
Recent Village Updates
Login to find out
It seems every villager has gone with the wind~~~~~~~~~Login to find out
has added a new journalSalaam
Iss “gaawon” ka rukh karne ka shukriya. Tah e dil se shukar guzar hu keh koi bhoola bhatka rahi aaya to sahih….
Sath mein aap ki darkhwast manzoor karne mein jo naadanista taur par taakheer huwi, uss ke liya maazrat khwah hu. Darasal yeh website naseeb ab bud naseeb ho chukka hai aur ek nahin balkeh kai wajahoot hain iss ki.
Ek waqt tha keh kisi ne dehleez par qadam rakha aur faurun qaasid aa kar itlaa kar deta tha lekin ab koi pursaane haal nahin iss website par. Who to ittefaqqan aaj apni email dekhi to khabar huwi keh kisi ne darwaze par dastak di hai.
Yeh bhi batata chalu keh jo sawal nama aap ne bhar kar bheja tha uss mein aap Pakistani taur se “Royal division” laayi hain yaani 33% passing marks milay hain :) Dar asal teesre sawal ka jawab hai “Bhadur Shah Zafar”.
Waise bhi yeh gaawon jo kabhi abaad tha, ab ujarh chukka hai. Yahan har ek ne chup shah ka roza rakha huwa hai. Woh log jo kabhi chehekte thai nah jaane kahan gum ho gaye?
Khair….sub ko Eid Mubarak.
Tariq
Login to find out
has added a new journalZikr e shab e firaaq se wehshat ussay bhi thii
Meri tarah kisi se mohabbat ussay bhi thi
Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
Raasta badal ke chalne ki aadat ussay bhi thi
Uss raat der tuk woh raha mehve guftugu
Masroof mein bhi kum tha, faraghat ussay bhi thi
Sunta tha woh bhi sub se purani kahanaiyan
Taaza rafaqataon ki zarurat ussay bhi thi
Mujh se bichaRh ke sheher mein ghul mil gaya woh shakhs
Haalankeh sheher bhar se raqabat ussay bhi thi
Woh mujh se baRh kar zabt ka aadil tha jee gaya
Warna har ek saans qayamat ussay bhi thi
horizon753
Thanks for visiting. Just saw your comment as I am not getting alerts for the villageLogin to find out
has added a new journalMehwe Hairat
Kahan hay too merey Khuda
Kahan hay too merey Khuda
Wo bhi aik waqt tha
Tera Qurb jab naseeb tha
Dua pe apni maan tha
sawal ka jawab tha
jo ghair ko na mil saka
wo mera intisaab tha
Ragoan mein jaisay khoon ho
Too itna hi qareeb tha
Deedar-e-mebuub-e-Khuda
dil ka merey sukoon tha
Ab kahaN hay too Khuda
Sunay ga kab meri sada
Zameen-o-Aasman sab
teri azmatoaN kay hein nishaN
SamandroaN ki har lehr
Terey hi hukm par rawaaN
charind aur parind bhi
kareiN hamd teri hi bayaN
Pahaar hein to sijda raiz
Darakht kay samar ayaaN
Magar O merey Kibriya
Too hay kahaN, too hay kahaN
Too nay jab ke khood kaha
"Aey bashar"
"Rakh Kun faykoon ka asraa"
To jab sab hee terey bas mein hay
to "Kun" too nay kiyooN nahi kaha
Thak thak gayee sehraoN mein bhatki meri sada
Barzakh meiN too nay rooh ko la khara kiya
KiyooN ghair sa too lagay mujhay
Woh kahaN gaya, jo tha mera PIYARA khuda
Kahan hay too merey Khuda
O merey apnay Khuda
horizon753
Ainie: Welcome back once again. Thanks for this lovely nazmLogin to find out
has added a new journalPhool thai, badal bhi thaa aur woh haseen surat bhi thi
Dil mein lekin aur he ek shakal ki hasrat bhi thi
Jo hava mein ghar banaye kaash koi dekhta
Dasht mein rehte thai par taamir ki aadat bhi thi
Keh gaya mein saamnay uss ke jo dil ka mudaa'aa
Kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi
Ajnabi shehraon mein rehte umr saari kaT kayi
Go zara se faasle par ghar ki har rahat bhi thi
Kya qayamat hai "Munir" ab yaad bhi aatay nahin
Woh puranay aashnaa jin se hamain ulfat bhi thi
Login to find out
has added a new journalitna qarib aao ke ji bhar key daikh lai.n
shaaed k phir milo to zauq-e-nazar na ho
Mumkin hai aisa bhi waqt aaye tarteeb-e-waqt mai.n
Tera haath uthey dastak keliye aur mera dar na ho
sherigul
I like the way he is tuning his "flying-high" beloved :PAnd, mumkin reminds me of something beautiful by Wasi Shah
Yeh bhi mumkin hai kissi roz na pehchanoo.n ussey
Woh jo her baar neya bhais badal laita hai
Barha mujh se kaha tha merey yaroo.n ne Wasi
Ishq darya hai jo bachoo.n ko nigal laita hai