Start communicating
Ghalib-Faiz
Recent Village Updates
Login to find out
has added a new journalRaat yun dil mein teri, khoyi hui yaad aayi
Jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaye
Jaise sahraon mein haule se chale baad-ae-naseem
Jaise bimaar ko be-wajaah quraar aa jaaye
siddrah
this my favorite one ....... just love itLogin to find out
has added a new journalAb Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay!!
siddrah
waah waahLogin to find out
has added a new journalGuloon mien Rang Bharay Bad-e-Nobahar Chalay
Chalay b aao Kay Gulshan ka Karobaar chalay
Qafas Udaas hai Yaaro !! Saba Se Kuch Tou Kaho
Kahien Tou Behr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chalay
Jo Hum Pay Guzri So Guzri Magar Shab-e-Hijraan
Humare Ashk Teri Aqbat sanwaar chalay
Muqaam Faiz koi Raah Mien Jacha hee Nahi
Jo koy-e-Yaar Se Nikle Tou Soy-e-Daar Chalay...
Login to find out
has added a new journalDonon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke
Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke
Login to find out
has added a new journalBARBADI -E- DIL JABER NAHI FAIZ KISI KA
WO DUSHMANE JAN HA TO BHOLA KYON NAHI DETE


