DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

ANKHAIN!!!!!


dil ki baatain bata deti hain Ankhain
dhadkano ko jaga deti hain ankhain
dil pe chalta nahin jadoo chehron ka kabhi
dil ko to deewana bana deti hain ankhain
wo hum se baat nahin kerte to na karain
haal saare un ke dil ka suna deti hain, ankhain
gham sada rehta nahin aadmi ke sath
ashk bana kar chalka deti hain ankhain
aata hai jab daur-e-jawani to ae dosto
sunder sapne zahan main basa deti hain ankhain
mana ki neend aati hai ankhon ke raste
kabhi neend bhi urha deti hain Ankhain!!
 

Add Comments

 
Add
 

  Comments on this journal

Login to find out (August 4, 2005 at 2:55pm)
Ankhain hi ankhain..ankhain hi ankhain:)
 
Login to find out (July 25, 2005 at 7:16am)
Suraj ki pehli kiron se khulti..
Neend ki laalach mein sustati aankhen..

Gham se thakaan se bhar aati kabhi..
Kabhi kisi ki yaad mein aanso jhalkati aankhen..

Kahne ko dekh leti sab kuch..
Kabhi fareb aur sach ko pehchaan nahin paati aankhen..

Dil ka aaena hai ye..
Pyaar ko chupa nahin paati aankhen..

Khud mein doob jaane ko majboor karti..
Kabhi dil ko ghaayal kar jaati aankhen..

Chalte chalte mil jaati kisi se..
Kisi ajnabi humsafar ko apna bana leti aankhen..

Jo saamne hai us mohhabat ko karti andekha..
Aur bichde hue pyaar ko phir se dhoondti aankhen..

Band kar lo to sab kuch dikha deti..
Khulte hi sab kuch dhundla kar deti aankhen..

Zindgi ki daud dhoop mein aakhir..
Ek din sada ki liye band ho jaati aankhen..
 
Login to find out (July 17, 2005 at 7:04am)
Bherkayeein meri pyas ko aksar teri Aankhein
sehra mera chehra ha ,samunder teri Aankhein

phir kon bhala dad-i-tabussum unhey de ga
royein gi bahut mujh say bicher ker teri Aankhein

bojhal nazar aati hain bazahir mujhay lekin
khulti hain bahut dil mein uter ke teri Aankhein

ab tak meri yadoon say mitaye naheen mit.ta
bheegi howi ek sham ka manzir,teri Aankhein

mumkin ho to ek taza ghazal aur bhi kah loon
phir oorh na leein khawab ki chadar teri Aankhein

yoon dekhtey rehna usay acha naheen MOHSIN
woh kanch ka paker ha to pather teri Aankhein
 
Login to find out (July 17, 2005 at 6:55am)
Mere liye theen kabhi ashk-baar woh Aankhein
Nasha tha jin mein ek aisa khumaar woh Aankhein

Uthain tau karti theen apna shikaar woh Aankhein
Jhukain tau ho jaayein mohlik hathyaar woh Aankhein

Jafaa karein tau lagein ek kamaan woh Aankhein
Wafaa pe aayein tau meri amaan woh Aankhein

Main unhi aakhon ki be-gaangi ka maara hoon
Main taiz behtey huwe aansuon ka dhaara hoon
 
Login to find out (July 13, 2005 at 8:25am)
Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saveron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhen Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
Palken Khulti Hain to Youn Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatm Huee Ho
Teri Ankhen, Teri Thahri Huee Gamgeen See Ankhen
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Sachchi
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Ye Hayat
 
Login to find out (July 9, 2005 at 4:51am)
BharkaYen meri pyaas ko aksar teri aankhen,
Sehra mera chehra hai to samandar teri aankhen,
Ab tak meri Yadon se mite nahi mit ta,
BheeGi hui shaam ka ik manzar teri aankhen,
Yon dekhte rehna uze acha nahi Mohsin,
Woh kaanch ka Pekar hai to Pathar teri aankhen...
 
Login to find out (July 7, 2005 at 7:04am)
Un Ki Ankhon Ko Kabhi Ghor Se Dekha Hai Faraz
Sonay Walon Ki Tarah Jagnay Walon Jaisi

Teri Jaisi Ankhon Walay Sahil Par Jab Atay Hain
Tou Lehrain Shor Machati Hain , Lo Aj Samandar Doob Gaya.....
 
Login to find out (July 1, 2005 at 7:58am)
Khanjar Hein Teri Aankhein Talwaar Teri Aankhein
Zinda Na Rehnay daitay hain Kiyoon Ay Yaar Teri Aankhein

Chehre Pay To Ghussa Hai Aankhon Mein Muhabbat Hai
Karti Hein Mairay Dilbar Iqraar Teri Aankhein

Yeah Bolti Aankhein Bhi Afsaanay Sunati Hein
Rakhte Hai Zubaan Jaisay Ay Yaar Teri Aankhein

Ay Nargis E Mastana Allah Tujhay Rakhay
Rehti Hein Tasawwar Mein Her Baar Teri Aankhein

Khanjar Hein Teri Aankhein Talwaar Teri Aankhein
Zinda Na Rehnay daitay hain Kiyoon Ay Yaar Teri Aankhein
 
Login to find out (July 1, 2005 at 7:46am)
Teri aankhon ke siva duniya mein rakha kya hai
yeh uthe subah chale
yeh jhuke sham dhale
mera jeena mera marna inhi palkon ke thale
Teri aankhon ke siva duniya mein rakha kya hai

palkon ki galiyo mein chehre baharon ke haste huye
hai mere khawbon ke kya kya nagar inme bajte huye
inme mere aanewale zamane ki tasveer hai
chahat ke kajal se likhi huyi meri takdeer hai
mera jeena mera marna inhi palkon ke thale
Teri aankhon ke siva duniya mein rakha kya hai
 
Login to find out (July 1, 2005 at 7:40am)
Madhosh Teri Aankhen Bemisaal Teri Aankhen,
Mehboob Tu Kya Jaane Hai Kamaal Teri Aankhen,
Maine Dekha Pyaar Ka Saagar Teri Aankhon Mein,
Tune Kya Dekha Hai Dilbar Meri Aankhon Mein,
Ho Pyaar Ke Kuchh Sapne Saje Milne Ke Armaan Jage,
Karne Lagi Hai Mujhse Kuchh Sawal Teri Aankhen,
Madhosh Teri Aankhen Bemisaal Teri Aankhen,
Mehboob Tu Kya Jaane Hai Kamaal Teri Aankhen,
Mere Sapnon Ka Jo Ghar Hai Teri Aankhen Hain,
Ho Mere Sapnon Ka Jo Ghar Hai Teri Aankhen Hain,
Jeevan Ki Saari Khushiyaan Bas Teri Aankhen Hain,
Ho Dil Ki Hai Chaahat Meri Ban Jaaoon Dhadkan Teri,
Mujhse Bana Rahi Hain Ek Rishta Teri Aankhen,
Madhosh Teri Aankhen Bemisaal Teri Aankhen,
Mehboob Tu Kya Jaane Hai Kamaal Teri Aankhen,