Banaa Gulaab to Kaante
banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
huaa chiraaG to ghar hii jalaa gayaa ik shaKhs
tamaam rang mere aur saare Khvaab mere
fasaanaa keh ke fasaanaa banaa gayaa ik shaKhs
mein kis havaa mein uruuN kis fazaa mein laharauN
dukhon ke jaal har ek suu bichhaa gayaa ik shaKhs
palaT sakuuN mein na aage hi barh sakuuN jis par
mujhe ye kaun se raaste lagaa gayaa ik shaKhs
muhabbatein bhii ajab us kii nafaratein bhii kamaal
merii tarah kaa hii mujh mein samaa gayaa ik shaKhs
vo mahataab thaa marham-ba-dast aayaa thaa
magar kuchh aur sivaa dil dukhaa gayaa ik shaKhs
khulaa ye raaz ke aaiinaa Khaanaa hai duniyaa
aur is mein mujh ko tamaashaa banaa gayaa ik shaKhs

Comments on this journal
Meri wafa meri Khata teri khata kuchh bhi nahi
is taraH roz tum ik jabr nayaa karti ho
kal talak dekhna mujh ko na gavaara tha tumheN
aaj milti ho to iqraar-e-vafaa karti ho?
Paas bhi nahi aur saath saath hain hum
Koi doosra nahi hota
Mere khayal kie duniya mein mere pass ho tum
Aik sa muqaddar hai
Mai zameen per tanha
Aur wo aasmaano main !!!
sar jhukai be neyazaana guzar jainge ham
nai jannat bananey mein purani bhool jane mein
Jab jeetna chaha haar gaye hum haar gaye
jeetoon to sanam teri haaroon to piya teri
Yuun Hi To Is Khail Main Hara Nahi Jata