DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Ghalib


Dil Laga kay lag gia un ko be tanha baithna.
baray apni baykasi ki hum nay pai dadian.
(Mirza Ghalib)
 

Add Comments

 
Add
 

  Comments on this journal

Login to find out (June 21, 2005 at 7:55pm)
Gham Naseebon Ki Zindagi Kia Hai, Aur Hum Gareebon Ki Zindagi Kia. Mur Jain Jin Ke Chaney Wale, Un Haseenon Ki Zindagi Kia Hai.
 
Login to find out (June 14, 2005 at 9:34am)
Guys, this is not Ghalib But priceless none the less:

Baat kya hai, Wahma kya hai, Haqeeqat kya hai.
Sheikh Sahab Yea Tum ko samajhne Ki Zaroorat kya hai.
Aur Sheikh Sahab ke kehne say mai kuch bhi na samjha.
Us ko Daikha Tou yea Samjha ke Kyamat kya hai.
 
Login to find out (May 24, 2005 at 9:33pm)
Nukta'cheen hai gham-e-dil us ko sunaaey na baney, kia baney baat jahaan baat banaaey na baney.. me bhulata tu hoon us ko magar aey jazba-e-dil, us pe ban jaey kuch aesi ki bin aey na baney.
 
Login to find out (May 12, 2005 at 2:47am)
Mein kissi Sheher mein jab bhi koi Rusta poochoon.....
Jaaney kiyon laug Terey ghar ka pata detey hain
 
Login to find out (May 12, 2005 at 12:03am)
Her ek baat pe kehte ho tum ke 'tu kya hai'? tumheen kaho ke yeh andaaz-e-guftgu kya hai ?.. Na sholay me ye karishma na barq me ye adaa, koi batao ki woh shokh-e-tund khu kya hai?... Yeh rashk hai ki wo hota hai hum'sukhan tumse, Wagarna khauf-e-bad'aamozi-e-adoo kya hai?... Chipak raha hai badan par lahu se pairahan, hamari jaib ko ab hajat-e-rafu kya hai?... Jala hai jism jahaan dil bhi jal gaya hoga, kured'te ho jo ab raakh, justaju kya hai?... Ragon me dhoRte phirne ke hum nahi qayal, jub aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai?... Woh cheez jiske liye humko ho bahisht azeez, siwaey baada-e-gul'faam-e-mashkabu kya hai?... Piyoon sharaab agar khum bhi dekh loon do chaar, yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai?.. Rahi na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhi, to kis umeed pe kahiye ke aarzoo kya hai?... Hua hai shaah ka musahib, phirey hai itrata.. wagarna shehar me 'GHalib' ki aabru kya hai?
 
Login to find out (May 11, 2005 at 8:29pm)
Dil hi tu hei na sung-o-khusht durd se bhur na aye kiun~~~~~~~~~~Royein gay hum hazaar baar koi humein sataye kiun