Ghazal from my book Sar-e-dasht-e-gumaan
Yahi manzar the anjaane se, pehle
Tumhare shehar mein aane se pehle
Zameen ki dharkanein pehchaan lena
Koi deewar banwane se pehle
Palat kar kyun mujhe sab dekhte hein
Tumhara zikr farmane se pehle
Najane kitni aankhein muntazir theen
Sitare baam par aane se pehle
Dareeche band ho jate hein kitne
Yahan manzar badal jane se pehle
Tumhare shehar mein aane se pehle
Zameen ki dharkanein pehchaan lena
Koi deewar banwane se pehle
Palat kar kyun mujhe sab dekhte hein
Tumhara zikr farmane se pehle
Najane kitni aankhein muntazir theen
Sitare baam par aane se pehle
Dareeche band ho jate hein kitne
Yahan manzar badal jane se pehle



Comments on this journal
mujhay peh-chantaa koi nahein hai
khulee hein khirkiyan har ghar kee laikin
galee mein janktaa koi nahein hai