?Lost Treasures?
Kab talak shama jali, yaad naheen
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheen
Is qadar yaad hai apne the sabhi
Kisne kya chaal chali, yaad naheen
Hum zamane mein kuch aise bhutkay
Ab to unki bhi gali yaad naheen
Abr tha, jaam tha, per aap na thay
Woh ghadi kaise tali yaad naheen
Kat gayi umer kisi tereh "Qateel"
Woh buri thee keh bhali yaad naheen
Kab talak shama jali, yaad naheen
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheen
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheen
Is qadar yaad hai apne the sabhi
Kisne kya chaal chali, yaad naheen
Hum zamane mein kuch aise bhutkay
Ab to unki bhi gali yaad naheen
Abr tha, jaam tha, per aap na thay
Woh ghadi kaise tali yaad naheen
Kat gayi umer kisi tereh "Qateel"
Woh buri thee keh bhali yaad naheen
Kab talak shama jali, yaad naheen
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheen



Comments on this journal