MERI AWARGI
MERI AWARGI
Ye ahd-e-wafa,yeh sab paimaan, rehnay de
Ye do char gharee kay mehmaan, rehnay de
Tu kisi say wafa karay, ye mumkin nahin
Jo dil kay liye na ho aasaan, rehnay de
Junoon ki ?kahaniyan? idhar udhar bikhri hui hain
Kuch yahan kay liye rakh chor,kuch wahan,rehnay de
Har ek gul umer-e-khizar ki aas lagaye baitha hai
Faqat bahar ka zikr cher, aur khizaan, rehnay de
chashm-e-yaar pe jo zaahir hogaya, wohi kaafi hai
jo hai deeda-e-dil say ab talak pinhaan, rehnay de
har ek lamha jo guzar gaya, ek naqsh chor gaya
Aankhein zaeef sahi,meri nazar jawan, rehnay de
Main jhonkay ki manind kahan kahan say guzra hoon
Ab nasheman ki fikr azaab hai,yeh imitihaan,rehnay de
Udaas teergi nay bhi kayee rang chupaa rakhay hain
tanhaee iss ka husn hai, yeh ghar veeraan,rehnay de
Apni awargi ka sabab tujhe samjhaoon to kyunkar
Teri tabiat mein Shauq nahin,yeh bayaan, rehnay de
Written by me....Sameer