DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Mohhabat


Tere Ikhlas Sey Mohabbat Ki Hai
Tere Ehsas Sey Mohabbat Ki Hai

Too Mery Pass Nahi Hay Phir Bhi
Teri Yaad Sey Mohabbat Ki Hai

Main Tum Ko Kis Tarha Bhool Sakta Hoon
Main Ne Tere Osaaf Sey Mohabbat Ki Hai

Kabhi To Tu Ney Bhi Mujhe Yaad Kia Ho Ga
Main Ne Un Lamhat Sey Mohabbat Ki Hai

Jin Main Hoon Sirf Tere Or Mery Baten
Main Ney Un Oqaat Sey Mohabbat Ki Hai
Or Jo Mehke Ho Sirf Tere Hi Mohabbat Sey
Main Ne Un Jazbat Sey Mohabbat Ki Hai

Tujh Sey Milna To Aab Khawab Sa Lagta Hai
Main Ney Tere Intezar Sey Mohabbat Ki Hai
 

Add Comments

 
Add
 

  Comments on this journal

Login to find out (March 6, 2006 at 11:07am)
fikr ki her kasak shaoooori hay
aql ki her ada adhoori hay
dil ki dunya sanwaaarnay k liye
ishq kerna buhat zeroori hay
 
Login to find out (February 19, 2006 at 5:02pm)
Har waqt muskarana fitrat hai hamari
Aap yunhi khush raho hasrat hai hamari
Aap ko hum yaad aaye naa aaye
Aapko yaad karna aadat hai hamari
 
Login to find out (February 17, 2006 at 11:09am)
Musafir tou bichartay hain, rafaqat kab badalti hay
Mohabbat zinda rehti hay, mohabbat kab badalti hay

Tumhi ko chahtay hain hum, tumhi say piyar kartay hain
Yehi barsoon say aadat hay, aur aadat kab badalti hay
 
Login to find out (February 17, 2006 at 8:56am)
unhein Khat mein likhaa thaa dil muztarib hai
javaab un kaa aayaa muhabbat na karte
tumhein dil lagaane ko kisane kahaa thaa
bahal jaayegaa dil bahalate bahalate
 
Login to find out (February 17, 2006 at 12:32am)
Sub koo adab aur shukriya

Tum Mujhay bhool bhi jao to yeh haq hai tumhai
Meri baat aur hai main nai tu mohhabat ki hai
 
Login to find out (February 16, 2006 at 8:49am)
Tujh Sey Milna To Aab Khawab Sa Lagta Hai
Main Ney Tere Intezar Sey Mohabbat Ki Hai


Bahut hi khoob Kashif sb...zabardast mazaa aa gaya :)


Honton ka Lamas de key mujhe us ne yeh kaha
Le jaa ise' Safar mein tere kaam aay ga
 
Login to find out (February 16, 2006 at 5:31am)
havas-nasiib nazar ko kahiin qaraar nahiin
main muntazir huuN magar teraa intazaar nahiin


hamiin se rang-e-gulistaaN hamiin se rang-e-bahaar
hamiin ko nazm-e-gulistaaN pe iKhtiyaar naheen


abhii na chheD mohabbat ke giit ae mutarib
abhii hayaat kaa mahaul Khush_gavaar naheen


tumhaare ahd-e-wafaa ko ahad main kyaa samajhuuN
mujhe Khud apanii mohabbat kaa aitabaar naheen