Mujhey ghum woh dey raha hay magar iss pe chahta hay~
MilaiN hum kabhi tou aisey keh hijaab bhool jaaye
MieN sawaal bhool jaaoN, woh jawaab bhool jaaye
Woh kisi khayal maiN ho aur ussi khayal maiN hi
Kabhi merey raastey maiN woh gulaab bhool jaaye
Jo kabhi tu paRhney bethey, mujhey harf harf dekhey
Teri aankheiN bheeg jaaieN, tu kitaab bhool jaaye
Teri sooch per ho haavi meri yaad iss tarha se
Keh tu apni zindigi ka nisaab bhool jaaye
Woh jo dekhey meri jaanib tou bachooN aik gunaah se
Usse dekh looN meiN itna keh sharaab bhool jaaye
Mujhey ghum woh dey raha hay magar iss pe chahta hay
Mein hisaab na rakh paaoN, woh hisaab bhool jaaye

Comments on this journal
aisii tanhaaii kaa javaab nahe
gahe gahe ise parhaa kiije
dil se bahatar koii kitaab nahe
jaane kis kis kii maut aaii hai
aaj ruKh pe koii naqaab nahe
vo karam ungaliyon pe ginte hain
zulm kaa jinake kuchh hisaab nahe