DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Poet of the East....


Lab pe aati hai dua banke tamanna meri
Zindagi shamma ki surat ho khuda ya meri

Dur duniya ke mere dam se andhera ho jaaye
Har jagha merey chamakne se ojala ho jaye

Ho mere dum se yun hi mere watan ki zeenat
Jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat

Zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab
Ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab

Ho mera kaam garibon ki himaayat karna
Dard mando se zaeefon se mohabbat karna

Mere allah buraayee se bachchana mujko
nek jo raah ho uss reh pe chalaana mujko
www.nation.com.pk
 

Add Comments

 
Add
 

  Comments on this journal

Login to find out (April 22, 2005 at 2:52pm)
Khudi ko kar buland itna,
ke har takdeer say pahaylay
Khuda banday say khud poochay,
"Buta teri raza kya hai? "

"Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye
Jahaan hai tere liye tu nahi jahaan ke liye"

"Achha hai dil ke saath rahe pasbaan-e-aql
Lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod de! "

"Mitaa de apnii hastii ko agar kuch martabaa chaahe
ki daanaa khaak men mil kar gul-e-gulzaar hotaa hai"