Pukarti hai Khamoshi
pukarati hai khamoshi meri fugan ki tarah
nigahein kahti hain sab raaz-e-dil zuban ki tarah
jala ke daag-e-muhabbat ne dil ko khaak kiya
bahar aayi mere baagh mein khizan ki tarah
talaash-e-yaar mein chhodi na sar-zameen koyi
hamare paanv mein chakkar ha.n aasman ki tarah
adaa-e-matlab-e-dil hamse seekh jaaye koyi
unhein suna hi diya haal daastan ki tarah

Comments on this journal