ROOh kay samander.....
ROOh kay samander main utro tou jaan pao gay ,kay saans dushwaar hay ishq ki bulandi per ,kay zaat zarrah zarrah ker kay bikharty hay ,aur hasil ki tamanna nahien koi ,her saans akhri saans kay intazaar main sulagty hay muger jaan ka azaab hay kay kam nahien hota,nazar mehdood ,pohanch mehdood ya Khuda muger dil ,
muger dil ik uraan bharta hay ,jaan pao kay uss uraan main zindagi ka gumaan rait kay zarrah kay brabar hay ,uss uraan main zindagi ka wajood kis qadar haqeer hay.
Beshaq yeh apna apna muqaddar hay kay kahien ishq mazrieh zindagi hay aur kahien jaan say guzar jaanay ka naam.