DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Sharm-o-Haya


kabhii nekii bhii us ke jii me.n aa jaaye hai mujh se
jafaaye.n kar ke apanii yaad sharmaa jaaye hai mujh se


ye bhii naachaar jii kaa khonaa hai
sharm se paanii paanii honaa hai


Gair ko yaarab vo kyo.n kar manaa-e-gustaaKhii kare
gar hayaa bhii us ko aatii hai to sharmaa jaaye hai


husn aur us pe husn-e-zan rah ga_ii bul_havas kii sharm
apane pe etimaad hai Gair ko aazamaaye kyuu.N
 

Add Comments

 
Add
 

  Comments on this journal

Login to find out (November 8, 2005 at 12:31am)
Woo Ais Kamal Saa Khela Thaa Aisq Ki Bazi
Ma Apni Fatha Samghta Tha Maat Honay Tak
 
Login to find out (November 4, 2005 at 12:49am)
Kuaboo Ki Wadiyoo Ma Ausay Dhoundta Raha
Maa Khusbouo Say Aus Ka Pata Puchta Raha

Muddat Kay Baad Kal Mughay Mehfil Ma Dekh Kar
Nazrein Jhokayaa Jany Wo Keya Sochta Raha

Wo Ajnabi Sa Ban Kay Mila Mugh Say Aur Maa
Herat Say Aus Kaaa Muhh Ki Traf Dekta Raha
 
Login to find out (May 11, 2005 at 11:27am)
Haider ki shayari mujhe saaf nazar ati hei.........
 
Login to find out (May 6, 2005 at 3:47am)
{{I am unable to read Haider's comments ): }}
 
Login to find out (May 6, 2005 at 3:46am)
Wohi ik baat hai jo yaan nafas, waan nikaht-e-gul hai.. chaman ka jalwa, baees hai meri rangeen nawai ka - Ghalib
 
Login to find out (May 5, 2005 at 6:22pm)
Meri ankhon ki chaka chaund bata sakti hei~~~~~~~~~~~Jisko dekha hi na jaye ussay dekha kesay
 
Login to find out (May 5, 2005 at 3:13pm)
Mujhay saahil ke sannaatay se raahat mil nahin sakti, - Mujhay toofaan ki gahraayion mein neend aati hai.
 
Login to find out (May 5, 2005 at 11:22am)
Shukar Pardai Hee Mai Uss Baat Koo Hayaa Nai Rakha......
Warna Emaan Gaya Hee Thaa Khuda Nai Rakha
 
Login to find out (May 5, 2005 at 11:20am)
Sharma Kai Pochna Voo Kisi Kaa Shab-e-Visaal....
Aee Hijaar Abb Too Dil Ki Tamanaa Nikal Gae