DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Urdu Adab aur Patras Kay Mazameen


Mana keh shair-o-shairi mein urdu zubaan ka koi hamsafar, ham khayaal, meri nazar mein nahein hay, lekin is ka yay hargiz matlab nahin keh urdu zuban sirf shair-o-shairi mein lajawab hay.

Agar kisi nay Patras kay mazameen parhay hoon to mujhay na siraf ummeed, balkay uqeen hay keh, urdu nasar (prose) bhi kisi say kam nahin. na siraf Patras balkay aur kai aisay loog hain keh jin ki nasar nay urdu zuban ko chaar chand laga diyaa hain. Meray kuch bohat psandeeda Musannifoon(authors) mein say kuch paesh-e-nazar hain

Dept. Nazeer Ahmad www.iqbalcyberlibrary.net), Mumtaz Mufti, Baano Qudsiya, Abdul Haleem Shararr

Mulahiza hoo Patras kay mazameen ka deebacha (preface)

"Agar yeh kitab aap ko kisi naay muft (free) bhaeji hay tu mujh per ahsaan kiya hay, agar aap nay kahin say churaiy hay tu main aap kay zook ki daad daeta hoon. Apnay paisoon say khareedi hay tu mujhay aap say bohat hamdardi hay. Ab behtar yahi hay keh app is kitab to achha samajh kar apni himaqat to haq bajanib sabit karein"
 

Add Comments

 
Add