DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Urdu Mein Gaana Gaiye






Folks, it's time to bust out with some tunes in Urdu. Try out your Urdu skills...you'd be surprised how good you are!



(A)
 

Add Comments

 
Add
 

  Comments on this journal

Login to find out (April 7, 2006 at 10:37pm)
Koi gesu, koi aanchal, hamen awaaz na de
Ab kisi Aankh ka kaajal, hamen awaaz na de
Hum hai khamosh, to khamosh hi, rehne do hamen
koi aahat, koi hulchul, hume awaaz na de
humne tanhai ko, mehboob bana rakha hai
raakh ke dher mein, sholon ko dabaa rakha hai

Phir pukaara hai, mohabbat ne hamen kya kije
di sadaa husn ki jannat ne hamen kya kije
jiske saaye se bhi, aksar hamen darr lagta tha
choo liya phir, usi hasrat ne, hamen kya kije
Humne jazbaat se, daaman ko bacha rakha hai
raakh ki dher mein, sholon ko dabaa rakha hai

Raas aaye na kabhi, pyaar ke halaat hamen
dil ke is khel mein har baar, hui maat hamen
kya kahenge khan jayenge, kidhar jayenge
di gayi ab bhi daga gar, ye mulaqat hamen
bas isi soch ne, diwaana bana rakha
raakh ke dher mein, sholon ko dabaa rakha hai

Movie - Ek Baar kaho
Singer - Jagjit Singh
 
Login to find out (April 7, 2006 at 7:08am)
Shaam-o-seher chaaron paher
Dhoonda tujhe har dishaan
Haan, magar haar kar
Aa gayi yeh nigaah
Saaya ko tere tarsi aankhein tadape hai dil mera
Ke tere bin pyaar wafa kya mera yahaan kya
Apna luta jahaan
Dil ne jise apna kahaa
Dil ne jise apna kahaa
Kho gaya ea woh kahan
Soon hai zameen aasmaan
Kho gaya ea woh kahan
Soon hai zameen aasmaan
 
Login to find out (April 7, 2006 at 4:58am)
Sona naa chandee naa koee mehal jaaneman tujh ko mein day sakoun gaa
Phir bhee yeh waada hai tujh say tu jo karay pyaar mujh say
Choota saa ghar tujh ko doun gaa ... dukh sukh kaa saathi bannoun gaa

Sona naa chandee naa koee mehal jaaneman tujh ko mein day sakoun gaa

Jab shaam ghar laot aaoun gaa .. hasti howee tu millay gee
Mit jayein gee saree sochein bahoun mein jab thaam lay gee

Chutti kaa din jab ho gaa .. hum khoob ghooma karain gay
Din raat houn-toun pay apnay chahat kay nagmay khillain gay

Baychain do dil millain gay

Sona naa chandee naa koee mehal tujh ko mein day sakoun gaa

Garmi mein jaa kay paharoun pay hum geet gaya karain gay
Sardi mein chhup kar lihafoun mein kissay sunnaya karain gay

Rut ayaygee jab baharoun kee phooloun kee mala bunnain gay
Jaa kay samundar pay dono seepoun say motee chunnain gay

Lehroun kee payal sunnain gay

Sona naa chandee naa koee mehal jaaneman tujh ko mein day sakoun gaa

Tankhaa mein jab lay kay aoun ga hathoun mein teray hee doun gaa
Jab kharch hon-gay woo paisay mein tujh say jhaghraa karoun gaa

Phir aisaa ho gaa tu mujh say kuch daeer roothee rahay gee
Soochay gee jab apnay dil mein tu muskura kay barhay gee

Aa kar galay say lagay gee !!!
 
Login to find out (April 6, 2006 at 10:10pm)
Kabhi neki bhi uske ji mein agar ajaye hai mujse...
Jafayen karke apni yaad sharmaye jaye hai mujse...
Khudaya jazbe dil ki magar taseer ulti hai,
Ke kitna khenchta hu aur kheenchta jaye hai mujse...

Sanbhalne de mujhe ay na umeedi kya kayamat hai,
Ke damane khayal e yaar choota jaye hai mujse..

Kayamat hai ke hoye muddayee ka hamsafar Ghalib
Wo kaafir jo khuda ko bhi na sonpa jaye hai mujse.

Not sure if this is by Ghalib, but its sung by Asha Bhonsle, and its ever so profound. :)
 
Login to find out (April 6, 2006 at 9:15pm)
Yaar....you all have some great songs!! :)

Accha...tou aisi baat hai? How about this?

Yeh jo mohabbat hai...yeh un kaa hai kaam...
Aray mehboob ka jo..bas laytay huway naam....
Mar jaen....mit jaen..ho jaen badnaam.....
Rehnay do choro yaar...hum na karein gay pyar...

:)

Actually I didn't know of this song until I recently heard it in my brother's car!! LOL! :)
 
Login to find out (April 6, 2006 at 8:22pm)
Here's a beautiful song with awesome lyrics from 1984 film Agar Tum Na Hote:


Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote
Agar tum na hote

Tumhen dekhke to lagta hai aise
Bahaaron ka mausam aaya ho jaise
Dikhaayi na deti andheron mein jyoti
Agar tum na hote
Agar tum na hote

Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote
Agar tum na hote

Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa
Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa
Kinaare pe bhi to leher aa duboti
Agar tum na hote
Agar tum na hote
 
Login to find out (April 6, 2006 at 7:18pm)
Love the song! Thanks for posting it, Jaanam.
 
Login to find out (April 6, 2006 at 6:08pm)
Na main jaanou
Na tuu jaane
Kaisa hai ye mausam
Koi na jaane.....
Kahi se hai fizaa aayi
Ghamon ki dhoop sang laayi
Khafaa hogaye hum
Judaa hogaye hum
Wo Lamhe wo baatein
Koi na jaane
Thi kaisi raatein
ooooo barsaatein
Wo bheegi bheegi yaadein
Wo bheegi bheegi yaadein...

someone wanna finish the rest???
 
Login to find out (April 6, 2006 at 3:56pm)
Great gana, Homesik72!!! (A)

Mera dil bhi kitna pagal hai
Yeh pyar to tum se karta hai
Mera dil bhi kitna pagal hai
Yeh pyar to tum se karta hai
Par samne jab tum aate ho
Kuch bhi kehne se darta hai
O mere sajan
O mere sajan
Mere sajan
Mere sajan

Film: Sajan starring Madhuri, Salman, and Sanjay D. :)
 
Login to find out (April 6, 2006 at 3:53pm)
Aara Pajama Resham Ka Kamarband

Chorus:
Aara pajama resham ka kamarband
Sayyan kahaan gayay they
Aara Pajama

--

Sayyan ko humney Lahore mein dekha (x 2)
Phajjay ke, haan ji haan phajjay ke,
Phajjay ke payay, lakshmi ki kalakand,
Chupke kha rahay they

Chorus

Sayyan ko humney Bumbai mein dekha (x 2)
Haathon mein, haan ji haan haathon mein
Haathon mein dabba, malmal ki saari band,
kiss ko baant rahay they

Chorus

Sayyan ko humney London mein dekha (x 2)
Baahon mein, haan ji haan baahon mein
Baahon mein gori, gori ke sang sang
Sayyaan naach rahay they

Chorus

Sayyan ko humney New York mein dekha
Kallo se, haan ji haan kallo se
Kallon se darkay, galyon mein aagay band
Ro ro kaanp rahay they

Artist: Ali Haider
 
Login to find out (April 6, 2006 at 12:01pm)
hazaron khwahishein aisee...keh khwahish pae dam niklae...
bahut nilkae mere armaan lekin phir bhee kam nik lae...
 
Login to find out (April 6, 2006 at 10:48am)
Sona naa chandee naa koee mehal jaaneman .. tujh ko mein day sakoun gaa
phir bhee yeh waada hai tujh say tu jo karay pyaar mujh say
choota saa ghar tujh ko doun gaa dukh sukh kaa saathi bannoun gaa
...

and goes on :P
 
Login to find out (April 6, 2006 at 2:01am)
This is a good urdu song.

aayi zanjeer ki jhankaar khuda khair kare
dil hua kiska giraftaar khuda khair kare

jaane yeh kaun meri rooh ko chhukar guzara
ek qayaamat hui bedaar khuda khair kare

lamha lamha meri aankhon mein kheencha jaati hai
ek chamakti hui talwaar khuda khair kare

khoon dil ka na chhalak jaaye meri aankhon se
ho na jaaye kahi izahaar khuda na kare

Movie - Razia sultan
Lyrics - Jan Nisaar Akhtar
Music - Khayyam
Singer - Kabban Mirza
 
Login to find out (April 5, 2006 at 10:47pm)
haha Bleeeach, I wonder what would be your translation if you kept on going to the next line of the 50 cent song....
 
Login to find out (April 5, 2006 at 9:41pm)
LOL!!!

Dude ur killin me! :)
 
Login to find out (April 5, 2006 at 9:09pm)
here some more... simple but thought provoking..

Kaha mein nay gul ka hai kitna sabaat
kali nay sun ker yeh tabassum kiya

gul - flower
sabaat - span
kali - bud
tabassum - smile (I think)


also,

Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya kar chale


Mir - name of the poet (Mir Taqi Mir)
"thakhallus"; name used by the poet usually in the last verse of the poem.
 
Login to find out (April 5, 2006 at 8:17am)
W'salam. Very nice ghazal there, Khnaja!
 
Login to find out (April 4, 2006 at 9:16pm)
* here's a ghazal...
 
Login to find out (April 4, 2006 at 9:14pm)
Salamz everyone.... I know its a gana VE but here a ghazal that I like..

kash main tere hasin hath ka kangan hota


tu bare pyar se bare chao se bare arman k sath
apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko
aur betabi se furqat k khizan lamhon mein
tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
main tere hath ki khushbu se mahak sa jata
jab kabhi mud mein a kar mujhe chuma karti
tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata


rat ko jab bhi tu nindon k safar par jati
marmari hath ka ik takya banaya karti
main tere kan se lag kar kai baten karta
teri zulfon ko tere gal ko chuma karta
jab bhi tu band qaba kholne lagti janan
apni ankhon ko tere husn se khera karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri ruh k gulshan mein mahakta rahta
main tere jism k angan mein khanakta rahta
kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota


kash main tere hasin hath ka kangan hota
 
Login to find out (April 4, 2006 at 8:57pm)
Ek aur gaana ho jaye? :) Please koyi to gaana sunaye.