WIJDAAN
WIJDAAN
Maine har ek say poocha sawaal-e-raaz-e-hastee, lekin
Mera dil kisi jawab pe la jawaab na hua
Kisi aashiq-e-mast ki mitti say bana tha mera dil shayad
Kab ka khaak mein mil gaya, per kharaab na hua..
Nashtar chubhonay thay to rooh ko chubhoye hotay?..
Yeh jism-e-faani pe sitam to koi azaab na hua..
Hum khud hi yaar kay aastaan pe lahu baha kay aa gaye
Phir kya taa?jub, kay aaj hum per koi attaab na hua
Dil-e-be-nawa ajab azziyat pasandi ka shauqeen thehra
Lazzat gunaah mein dhoond li, gar qaabil-e-sawaab na hua
Meri be-niyaazi dekhi to mere aib laga ginwanay?
Meri veeran raaton ki aahon ka to kabhi hisaab na hua
Meri khudi nay har ek toofan mein mujhko thaam liya
Main chah kar bhi raha satah pe, gharq-e-aab na hua
Aaj zikr ?e-wafa suna to jee khush hua barson baad
Hairat hai ke yeh lafz ab talak nayaab na hua?.
Tere husn kay parday chaak ho jaatay, per shukr kar
Kay mera ishq teri chaukhat per be-naqaab na hua
Meri ungliyon mein aandhiyan qaid, meri jumbish mein toofan band
Mere qadmon talay koi bhanwar, kabhi gardaab na hua?.
Tere sher kisi katbay par likhay jaayein gay Shauq
Kya hua jo tera kalaam, zaib-e-kitaab na hua?
WRITTEN BY ME...SAMEER