Zindagi aaee thi kal shaam dastak pe
Zindagi aaee thi kal shaam dastak pe,
Shayad kuch uDhaar tha uska,
Ya phir kuch lautane aaee thi.
Chota dil, kam zubaan, mein kya poochta Kyun aaee ho?.
KunDi koli and aur andhar aane ki dawaat di.
Ghareeb ke ghar mein diya nahi hai.
Bas aagan mein chandNi ki chadar hai.
Woh boli shaam sarD hai, thodi se aag jala do ge.
Mein fauran saari poonji aur Unke khat eKKhatta kiye
Aur apne dil ke saath unhe bhi aag laga di.
Ham dono khamoosh baiThe rahe.
Aag subho subho tak jalti rahi,
Subho jab aanKh khuli to aangan mein,
Mein ne sirf raaKh ka Dher aur ek Dil paya.

Comments on this journal
my urdu vocabulary (even engilish) is not big.